Tuesday 24 December 2013

PYARE NABI KI PYARI BATE

[1] Jisne achchhi tarah waju kiya, namaz ke liye masjid gaya aur jamat se namaz ada ki uske gunaha bakhsh diye jayege.
[2] Jo adimi magrib ki namaz ke baad bina kisi se baatchit kiye 2-rakat namaz padhega allah paak usse jannat mai makam ata farmayege.
[3] Agar tum apne maal  se logo khush nahi kar shakte to khushi dil unse baatchit karke,unke shath achchha bartao karke unhe khush kar sakte ho.
[4] Maut momin ke liye ek tohafa hai.
[5] Madine mai rahene ke dawran jo adimi dhukh-taklif ane par sabar karega, mai usse qayamat mai bakhshwaduga.
[6] Jisse mumkin ho shake ki wo madina mai mare to madina mai hi mare kyonki jo madina mai marega main qayamat mai usse bakhshwaduga.

[6] Jo adimi madina walo ke sath dhokha bazi karege wah ayesa  ghul jayega jayese namak pani mai ghul jata hai.
[7] Madina mai pahuchne wale rashte mai farishte ka pahera raga huwa hai isliye us shahar mai dazzal nahi ghush sakega aur waha paleg ki bimari nahi ho sakege.
[8] Nek awrat duniya ki sabse achchhi dawlat, sarmaya hai.
[9] Jab koi adimi nikah kar leta hai to shayetan ko bada dhukh hota hai, waha kaheta hai ki adam ke bĂȘte ne mujhese apna 2-rihayi iman bachaliya.
[10] Jo adimi nikah karne ki hashiyat rakhte huwe bhi nikah nahi karta, waha hamme se nahi hai.
[11] Jo adimi nikah kare aur maher qabul karte waqt yah niyat rakhkhe ki kuch bhi na duga to waha zani ho kar marega.
[12] Jiske 2-awrate ho aur uska jhukaao ek ki taraf ho (Dusri biwi ka barab khayan na rakhta ho) to qayamat mai peshi ke waqt uska adha dhad bekar ho jayega.
[13] Awart par sabse jayeda haq uske shawhar ka hai, aur mard par sabse jayeda haq uski maa  ka hai.

No comments:

Post a Comment