[1] HAZRAT-E-AYSHA-RAZIYALLAHO-TA-ALA-ANHO- Ne
faramaya ki rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALIAM se mard ke bare
main pucha gaya ki jo gilapan paye aur khawab mai napaki hona yaad na
hare-Farmaya gushal kare, aur us shakhsh ke bare main pucha gaya jisse
khawb ka yakin hai aur gilapan nahi pata farmaya us par gushal
nahi-HAZRAT-E-UMME-SULAYEM-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHO- ne araz kiya kya
awrat usko dekhe to uspar ghshal hai ? Farmaya haan awarat mardo ki MISL
hai. (TIRMIZI SHARIF)
[2] HAZRAT-E-ABU-HURAIRA-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHO- Ne
kaha ki huzur ALAYHISHSALATU-WAS-SALIAM ne farmaya jab tumne koi awrat
ke hathho aur pawo ke darmiyan bayethhe fir koshish yani HAMBISHTARI
kare to gushal wajib ho gaya agarche MANI na nikle. (BUKHARI SHARIF)
[3] HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHA- Ne
farmaya ki nabi karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALIAM par jab gushal farz
hota fir aap kuch khane ya sone ka irada farmate to wazu kar lete jis
tarah ki namaz ka wazu kiya jata hai. (BUKHARI – MUSLIM)
[4] HAZRAT-E-ABU-HURAIRA-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHO- Ne
kaha ki rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAT-TASLIM ne farmaya ki har baal
ke niche zanabat ka asar hai isliye har baal dhhowo aur badan ko saf
suthra karo. (TIRMIZI)
HAZRAT-MULLA-ALI-QARI-RAHEMATULLAH-ALAYE- is
hadith ke niche likhte hai ki agar ek baal bhi pani pahuchne se raha
gaya to uski napaki baki rahegi (MIRKAT JILD-1 SAFA-327)
[5] HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHA- Ne
farmaya ki rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALIAM jab napaki ka
gushal farmate to suru yo karte ki pahele hath dhote fir namaz ke jayesa
wazu karte fir ungliyo par pani dal kar unse balo ki jado ko gili
karte fir sar par dono hath se 3-chullu pani dalte fir tamam badan par
pani bahate aur AUR IMAME MUSLIM KI RIWAYAT MAI HAI- ki huzur (jab
gushal)suru farmate to hatho ko bartan mai dalne se pahele dholete fir
dahine hath se baye hath par pani dalte iske baat apni sharmgaha dhote
fir wazu farmate. (BUKHARI-MUSLIM)
KUCH DHEYAN RAKHNE KI BAATE
[1] Gushal
ka tarika yaha hai ki pahele dono hath gatto tak 3-martaba dhoye fir
istinze ki jagaha dhoye us ke baad badan par agarche kahi nazasat yahi
peshab ya pakhana ya mani wagayera ho to usse dur kare fir namaz jayesa
wazu kare magar pawo na dhoye, agar chawki ya paththar wagayera uchhi
par nahate ho to pawo bhi dhole-uske baad badan par tel ki tarah pani
chupde fir 3-martaba dahine kandhe par pani bahaye aur fir 3- martaba
baye kandhe par fir sar par aur pure badan par 3-bar pani bahaye sare
badan par hath fere aur male fir gushal karne ki jagaha ke hatjaye aur
agar wazu karne mai pao na dhoye hoto ab dhole aur fawran kapde pahenle.
[2] Parde ki jagaha par nangge nahana jayez hai, haan awrato ko jayeda ahetiyat ki jarorat hai. (BAHAR-E-SHARIYAT)
[3] Logo ke samne raan aur ghudne khol kar gushal ya itna barik kapda pahen kar gushal karna ki badan jhalke nazayez wa haram hai. (AAM-E-QUTUB)
[4] Mani
ka apni jagaha se shahwat ke shath alag hokar nikalna ahetilam hona
“hashfa ka dakhil hona” hayez se paak hona, nafas ka khatam hona, in
tamam surato mai gushal karna farz hai, aur juma, eid, bakraeid, arafa,
ke dil aur aheram bandhte waqt gushal sunnat hai. (BAHAR-E-SHARIYAT
No comments:
Post a Comment