Tuesday, 24 December 2013

NAMAZ KE MASLE

[1] Farz namaz ki do rakat sunnat ki paheli rakat mai, sur-e-fateha ke baad sur-e-qaferun aur 2-rakat mai sur-e-fateha ke baad kulluwalla padhna sunnat hai.

[2] Farz ki 2-rakat sunnat karib-karib wajib hai. isliye jama’at khadi ho chuki ho to bhi sunnat padhkar jama’at mai shariq hona chahiye. haan agar jama’at na milne ka yakin ho to fir jama’at  mai shariq ho jaye. sunnat suraj nikalne ke 20 mit. baad padhy.

[3] Farz ki sunnat padh lene ke baad jama’at mai chahe jitni der ho, koi nafil namaz nahi padh shakte.
[4] Agar kisi din faraz ki namaz qaza ho jaye aur dupaher se pahele-pahele padhne ka mauka nile to sunnat wa farz dono ki qaza padhy. Agar dupaher baad padhey to shirf farz ki qaza hi padhy.

[5] Qaza namaze farz ke waqt mai jama’at se pahele aur baad mai bhi padhe shakte hai lekin behatar hai ki ghar par hi padhe, masjid mai na padhey taki koi yaha na samjhe ki nafil namaz padh rahe hai.

[6] Agar kisi par gushal wajib ko gaya ho aur fazar ke waqt usse nahane ka waqt na mile, namaz qaza ho jane ka dar ho to TAYMMUM  karke farz ada karle, fir nahakar namaz dobara padhy.

[7] Din nikalte waqt (20-mit tak) quran ki tilawat ke bajaye darod sharif ya dusra zikar karna afzal hai. Us waqt tilawat karna maqruh hai. (momin ki namaz 104-105 )

No comments:

Post a Comment