Tuesday, 24 December 2013

GUSHAL KA BAYAN

[1] HAZRAT-E-AYSHA-RAZIYALLAHO-TA-ALA-ANHO- Ne faramaya ki rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALIAM se mard ke bare main pucha gaya ki jo gilapan paye aur khawab mai napaki hona yaad na hare-Farmaya gushal kare, aur us shakhsh ke bare main pucha gaya jisse khawb ka yakin hai aur gilapan nahi pata farmaya us par gushal nahi-HAZRAT-E-UMME-SULAYEM-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHO- ne araz kiya kya awrat usko dekhe to uspar ghshal hai ? Farmaya haan awarat mardo ki MISL hai. (TIRMIZI SHARIF)
 
[2] HAZRAT-E-ABU-HURAIRA-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHO- Ne kaha ki huzur ALAYHISHSALATU-WAS-SALIAM ne farmaya jab tumne koi awrat ke hathho aur pawo ke darmiyan bayethhe fir koshish yani HAMBISHTARI kare to gushal wajib ho gaya agarche MANI na nikle. (BUKHARI SHARIF)
 
[3] HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHA- Ne farmaya ki nabi karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALIAM par jab gushal farz hota fir aap kuch khane ya sone ka irada farmate to wazu kar lete jis tarah ki namaz ka wazu kiya jata hai. (BUKHARI – MUSLIM)
 
[4] HAZRAT-E-ABU-HURAIRA-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHO- Ne kaha ki rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAT-TASLIM ne farmaya ki har baal ke niche zanabat ka asar hai isliye har baal dhhowo aur badan ko saf suthra karo. (TIRMIZI)
 
HAZRAT-MULLA-ALI-QARI-RAHEMATULLAH-ALAYE- is hadith ke niche likhte hai ki agar ek baal bhi pani pahuchne se raha gaya to uski napaki baki rahegi (MIRKAT JILD-1 SAFA-327)
 
[5] HAZRAT-E-AYESHA-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHA- Ne farmaya ki rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALIAM  jab napaki ka gushal farmate to suru yo karte ki pahele hath dhote fir namaz ke jayesa wazu karte fir ungliyo par pani dal kar unse balo ki jado ko gili karte fir sar par dono hath se 3-chullu pani dalte fir tamam badan par pani bahate aur AUR IMAME MUSLIM KI RIWAYAT MAI HAI- ki huzur (jab gushal)suru farmate to hatho ko bartan mai dalne se pahele dholete fir dahine hath se baye hath par pani dalte iske baat apni sharmgaha dhote fir wazu farmate. (BUKHARI-MUSLIM)
 
KUCH DHEYAN RAKHNE KI BAATE
 
[1] Gushal ka tarika yaha hai ki pahele dono hath gatto tak 3-martaba dhoye fir istinze ki jagaha dhoye us ke baad badan par agarche kahi nazasat yahi peshab ya pakhana ya mani  wagayera ho to usse dur kare fir namaz jayesa wazu kare magar pawo na dhoye, agar chawki ya paththar wagayera uchhi par nahate ho to pawo bhi dhole-uske baad badan par tel ki tarah pani chupde fir 3-martaba dahine kandhe par pani bahaye aur fir 3- martaba baye kandhe par fir sar par aur pure badan par 3-bar pani bahaye sare badan par hath fere aur male fir gushal karne ki jagaha ke hatjaye aur agar wazu karne mai pao na dhoye hoto ab dhole aur fawran kapde pahenle.
 
[2] Parde ki jagaha par nangge nahana jayez hai, haan awrato ko jayeda ahetiyat ki jarorat hai. (BAHAR-E-SHARIYAT)
 
[3] Logo ke samne raan aur ghudne khol kar gushal ya itna barik kapda pahen kar gushal karna ki badan jhalke nazayez wa haram hai. (AAM-E-QUTUB)
 
[4] Mani ka apni jagaha se shahwat ke shath alag hokar nikalna ahetilam hona “hashfa ka dakhil hona” hayez se paak hona, nafas ka khatam hona, in tamam surato mai gushal karna farz hai, aur juma, eid, bakraeid, arafa, ke dil aur aheram bandhte waqt gushal sunnat hai. (BAHAR-E-SHARIYAT

NAMAZ KE MASLE

[1] Farz namaz ki do rakat sunnat ki paheli rakat mai, sur-e-fateha ke baad sur-e-qaferun aur 2-rakat mai sur-e-fateha ke baad kulluwalla padhna sunnat hai.

[2] Farz ki 2-rakat sunnat karib-karib wajib hai. isliye jama’at khadi ho chuki ho to bhi sunnat padhkar jama’at mai shariq hona chahiye. haan agar jama’at na milne ka yakin ho to fir jama’at  mai shariq ho jaye. sunnat suraj nikalne ke 20 mit. baad padhy.

[3] Farz ki sunnat padh lene ke baad jama’at mai chahe jitni der ho, koi nafil namaz nahi padh shakte.
[4] Agar kisi din faraz ki namaz qaza ho jaye aur dupaher se pahele-pahele padhne ka mauka nile to sunnat wa farz dono ki qaza padhy. Agar dupaher baad padhey to shirf farz ki qaza hi padhy.

[5] Qaza namaze farz ke waqt mai jama’at se pahele aur baad mai bhi padhe shakte hai lekin behatar hai ki ghar par hi padhe, masjid mai na padhey taki koi yaha na samjhe ki nafil namaz padh rahe hai.

[6] Agar kisi par gushal wajib ko gaya ho aur fazar ke waqt usse nahane ka waqt na mile, namaz qaza ho jane ka dar ho to TAYMMUM  karke farz ada karle, fir nahakar namaz dobara padhy.

[7] Din nikalte waqt (20-mit tak) quran ki tilawat ke bajaye darod sharif ya dusra zikar karna afzal hai. Us waqt tilawat karna maqruh hai. (momin ki namaz 104-105 )

PYARE NABI KI PYARI BATE

[1] Jisne achchhi tarah waju kiya, namaz ke liye masjid gaya aur jamat se namaz ada ki uske gunaha bakhsh diye jayege.
[2] Jo adimi magrib ki namaz ke baad bina kisi se baatchit kiye 2-rakat namaz padhega allah paak usse jannat mai makam ata farmayege.
[3] Agar tum apne maal  se logo khush nahi kar shakte to khushi dil unse baatchit karke,unke shath achchha bartao karke unhe khush kar sakte ho.
[4] Maut momin ke liye ek tohafa hai.
[5] Madine mai rahene ke dawran jo adimi dhukh-taklif ane par sabar karega, mai usse qayamat mai bakhshwaduga.
[6] Jisse mumkin ho shake ki wo madina mai mare to madina mai hi mare kyonki jo madina mai marega main qayamat mai usse bakhshwaduga.

[6] Jo adimi madina walo ke sath dhokha bazi karege wah ayesa  ghul jayega jayese namak pani mai ghul jata hai.
[7] Madina mai pahuchne wale rashte mai farishte ka pahera raga huwa hai isliye us shahar mai dazzal nahi ghush sakega aur waha paleg ki bimari nahi ho sakege.
[8] Nek awrat duniya ki sabse achchhi dawlat, sarmaya hai.
[9] Jab koi adimi nikah kar leta hai to shayetan ko bada dhukh hota hai, waha kaheta hai ki adam ke bĂȘte ne mujhese apna 2-rihayi iman bachaliya.
[10] Jo adimi nikah karne ki hashiyat rakhte huwe bhi nikah nahi karta, waha hamme se nahi hai.
[11] Jo adimi nikah kare aur maher qabul karte waqt yah niyat rakhkhe ki kuch bhi na duga to waha zani ho kar marega.
[12] Jiske 2-awrate ho aur uska jhukaao ek ki taraf ho (Dusri biwi ka barab khayan na rakhta ho) to qayamat mai peshi ke waqt uska adha dhad bekar ho jayega.
[13] Awart par sabse jayeda haq uske shawhar ka hai, aur mard par sabse jayeda haq uski maa  ka hai.

Thursday, 5 December 2013

Cifte Minareli Madrassah in Erzurum - Turkey


Chellah the Fortress in Rabat - Morocco


Central Mosque in Seoul - South Korea


Central Mosque in Erbil - Iraq


Caravanserai in Yazd - Iran


Caravanserai in Kyrgyzstan


Caravanserai in Capadocia - Turkey


Buyuk Majidiye Mosque in Istanbul - Turkey


Burj Al Arab Hotel in Dubai


Blue Mosque in Yerevan - Armenia


Blue Mosque in Saigon - Vietnam


Blue Mosque in Herat - Afghanistan


Birdhouse in Turkey


Berat in Albania


beautiful-blue-islamic-masque-wallpaper


Madeena Shareef 1


Tuesday, 3 December 2013

Birdhouse in Turkey


Birdhouse in Istanbul - Turkey


Berat in Albania


beautiful-blue-islamic-masque-wallpaper


Bazar in Shiraz - Iran


Bazar in Kerman - Iran


Bazar in Damascus - Syria


Bazar in Bursa - Turkey


Bazar in Aleppo - Syria


Bayrakli Mosque in Belgrade - Serbia


Bayezid Mosque in Istanbul - Turkey


Bayezid Complex in Edirne - Turkey


Banya Bashi Mosque in Sofia - Bulgaria


Banda Aceh Main Mosque in Indonesia